Saturday, 11 June 2016

EK UMMID (GHAR SE DOOR PADHNE KE LIYE JAATI LADKI KE NAAM)



Ghar babul ka chodh vatan se door jaate hue

Kyu pareshan ho, naye kuch geet gaate hue ?



Tune socha bhi kabhi apni un maao ko

Chaakri karti thi jo chodh in fazaao ko

Peehar mai ‘paraya dhan’ kehlati thi

‘Pati ka ghar’ kabhi apna na keh pati thi

Ghar se wo nikalti thi dulhan ban kar

Bali ko maveshi jaate hain saj dhaj kar

Naye dyar mai ghut ghut ke mar jaati thi

Mayke se par koi bhi sada na aati thi



Tum meri mata-e-arazu;

Asman ke sitare par nazar tikaye, safar ke liye nikli ho

Mustaqbil ko sitaro se, jagmagane ke liye nikli ho

Mard ki ghulami se zamane ko, chudhane ke liye nikli ho

Ek nayi duniya naya jahaan basane ke liye nikli ho



Teri ankho mai dekhe hain sholey maine

Ashk ankho ke teri na seh paaunga main

In sholo se phunk dena hai ye mardana nizam

Tu haaregi to khud hi haar jaaunga main



Ghar babul ka chodh vatan se door jaate vhue

Nayi subah dhundte, naye suraj kayi jalate hue

Asmaan mai udne ke liye jaa

Phir baras jaane ke liye jaa

Nadiya mai behne ke liye jaa

Samandar ho jaane ke liye jaa

Apni hasti dikhlane ke liye jaa

Naye daur o zamane ke liye jaa


‘Bahut suna liya duniya nai tujhe

Ab apni kahani sunane ke liye jaa’

Glossary:
Ghar babul ka: Father’s house
Maao: Mothers, plural of ‘maa’
Chaaakri: To serve
Peehar: Father’s house
Paraya dhan: Not one’s own wealth
Bali: Sacrifice
Maveshi: Cattle
Dyar: Home, dwelling
Mayke: Mother’s home
Sada: Call, voice
Mata-e-arzoo: From whom I have hopes
Asman ka sitara: Star to take directions in navigation
Mustaqbil: Future
Ghulami: Slavery
Sholey: Fire
Ashk: Tears
Phunk dena: To burn
Mardana nizam: Patriarchy
Hasti: Character

Naye daur o zamana: New times and society 

Saturday, 4 June 2016

LOVE JIHAD: ISHQ PAR PEHRA



Ishq hi badal gaya, ki husn hi na ab raha
Nazrein badal gayi, ki dil hi na ab raha
Kya hua ki dast-e-sheikh ab dil ki lagaam hai
Nazar-e-shauq ko thamna brahman ka kaam hai
Dil ki dhadkanein bhi to vaaiz ki ghulaam hain
Jazbe muhabbat ke saare hi dharam ke naam hain
Mandir mai jo khile, wo chameli masjid na mehkayegi
Masjid ko choo kar hawa koi bhi mandir na aayegi
Aisa nizaam khuda ke chahne walo ne hai kiya
Hasiina jo koi dekh lu, pehle deen puchunga miya!

Glossary;
Dast-e-sheikh: In the hands of religious leader
Lagaam: Bridle
Nazar-e-shauq: Sight full of passion
Thamna: To control
Brahman: Priest
Jazbe: Emotions
Nizam: Establishment, system
Deen: Religion







Sunday, 29 May 2016

SARKAR KI DUSRI SAALGIRAH KA JASHN AUR HUM

Jagmagahat hi jagmagahat hai,
Utar aye hain zameen pe chand sitaare;
Jashn hi jashn hai chaar soo,
Raqs karte aate hain leader humare.

Sarkar ko humari ab fursat nahi hai,
Roti ki humko ab zarurat nahi hai,
Khushi ke maare jaa.n jaa rahi hai,
Kisaano ko dekho, kya maut aa rahi hai.

Marne se pehle bas ek tamanna thi uski,
Jo puri hui bas wo ek tamanna thi uski,
Sarkar khudkushi ke naghme bajaye,
Rooh jis dum jism se nikal kar ke jaaye.

Sarkar ke dushman ye kehte phire hain,
Ajab hi ek bakwas kehte phire hain,
Daulat ki barbadi hai ye naach-gaana,
Pehle chahiye kisaan ka karz chukana.

Ye tareekh rahi hai, azal se humari,
Raja ke kisse hain aur uski kahani,
Kisano ko koi puchta kab kahaa.n hai,
Wahi.n thai hum pehle bhi, ke ab jahaa.n hain.

Ghareebo ki baat bhala kab humne ki hai,
Bhaghawat-i-nizamiya kab humne ki hai,
Sarkar ki baat hi to hum kar rahe hain,
Jo bhi hukm unka, wo raqam kar rahe hain.

Kitne badbakht-o-kambakht hain ye,
Dushman-i-taaj-o-takht hain ye,
Hungama-i-jashn se ye behalte nahi hain,
Bina ROTI ke ye jite nahi hain.

Chodho bhi ye kisano ka kissa meri jaan,
Aao naghma koi hum gaaye meri jaan,
Ye mauka hai khushi ka khushiya manao,
Sarkar ki dusri saalgirah tum manao.


Glossary:
Char soo: All diretions
Raqs: Dance
Fursat: Time
Zarurat: Need
Tamanna: Wish
Khudkushi: Suicide
Naghme: Songs
Rooh: Soul
Jism: Body
Daulat: Money, wealth
Karz: Debt
Azal: Eternity
Tareekh: History
Baghawat-i-nizamiya: Revolt against the establishment
Raqam: Write
Badbakht-o-kambakht:Unfortunate
Dushman-i-taj-o-takht: Enemy of throne and crown
 Saalgirah: Anniversary

Sunday, 1 June 2014

Badayun mai hue gang rape par

Akhir ye shor ye hungama kya hai,
Koi mujhe batlaye ye hua kya hai?

Do bachchiya paid se latki hui paai gai hain,
Isme hairan hone ka mudda kya hai?

Mere saath to kuch abhi tak na hua,
Ho kisi ke sath kuch, mujhe ranj kya hai?

Bhala hua un bachchiyo ke sath shayad,
Waise bhi is duniya mai ab rakha kya hai?

Kyu pakadte phirte ho un masoom ladko ko,
Ghalti hui hai, becharo ne kiya hi kya hai?

Wo bechargi, wo majburi jo budhi ankho mai hai,
Muawze se zakhm kabhi bhara kya hai?

Abhi to aur bhi asmate lutengi,
Abhi kyu hungama karte ho, abhi hua kya hai?

Main bhi chup hu, tum bhi chup raho
Humari behno ke saath abhi hua hi kya hai?




Sunday, 29 September 2013

Aqlmand Insaan

Khoon bhi ye kitna paglaa hai, ek hi rang mai behtaa hai,
Na ye sunta na hi samajhta, mulla pandit kya kehta hai.

Suraj ko bhi kuch aql nahi hai, sab ke sar upar chamke hai,
Hindu ka ghar, muslim aangan, kuch isko nahi kya dikhta hai.

Mandir masjid par ek samaan, saawan jo mih barsata hai,
Baadlo ko kya dharm ka paath koi nahi sikhlaata hai.

Paid na jaane sabko kyu, apna phal khilaata hai,
Dusre dharm ko maar de bhuka, itna bhi nahi aata hai.

Baad bhukamp, basti sabki ujaad jaate hain,
Hindu basti muslim muhalla, na inse pehchaana jaata hai.

Is hi liye to insaan sabse aqlmand kehlata hai,
Hindu muslim ka bhaid, bas yahi to jaan paata hai.


GLOSSARY:

Khoon -  Blood
Paglaa -   Insane
Behtaa -  Flow
Rang -     Colour
Mulla - Muslim cleric
Pandit - Hindu cleric
Suraj -   Sun
Aql  -    Wisdom
Aangan - Portion of home
Saawan -  Rainy season
Mih   -      Rain
Baadlo -   Clouds
Dharm-    Religion
Paath -     Lesson
Paid -      Tree
Phal -    Fruit
Bhukamp - Earthquake
Baad -  Flood
Basti, Muhalla - Colony
Insaan-  Human being
Aqlmand -  Wise
Bhaid -  Difference

Sunday, 22 September 2013

Muzaffarnagar, khaito mai behte lahu par.

Yahaan behti thi hawaayein ganne ki mithaas lekar,
Rishta ek bana lete thai har ladki ko gaanv ki behan kehkar;
Sab chacha o taau hote thai muslmaan o hindu,
Huye jatan laakh, nehar gang ka na bataa paani kintu.

Phir kya hua ye, ki hathiyar khait mai nlehlahane lage,
Apni hi behno izzat lootne ko, ye jhund aane lage;
Apne hi chacha ko mara, apne taau ko qatl kiya,
Nehar gang ke paani ko lahu se tumne kyu rang diya?


GLOSSARY:
Hawaayein: Breeze
Ganne: Sugarcane, crop for which muzaffarnagar is famous
Chacha: Uncle, mostly muslim use this word in the region
Taau: Uncle, more related to hindu way of calling
Nehar Gang: Ganga canal, runs through the region & lifeline of agriculture there
Izzat: Honour
Qatl: Killed
Lahu: Blood

Friday, 19 July 2013

SCHOOL CHALE HUM ( bihar mai mere masoom bacho ke naam)

Sawere sawere mrityu se milne,
Ban than ke nikle hum;
Sawere sawere mrityu se milne,
Ghar se door chale hum;
roke se na ruke hum,
swarg ko chale hum,
kabr ban chale hum,
marghat bane hum,
grahan sa dhale hum,
SCHOOL chale hum,
SCHOOL chale hum.

Iske darwaze se jannat ke raaz khulte hain,
Yam aage chalta hai, hum peeche chalte hain,
Chawal pe kismat apni likhi jaati hai,
Is se humko marne ki wajah milti jaati hai,
roke se na ruke hum,
swarg ko chale hum,
kabr ban chale hum,
marghat bane hum,
grahan sa dhale hum,
SCHOOL chale hum,
SCHOOL chale hum.